ye sham ka baDhta hua saya hai ki main hun
ye shaam kā baḌhtā huā saaya hai ki maiñ huuñ
tā-hadd-e-nazar aañkh meñ sahrā hai ki maiñ huuñ
āḳhir tujhe ye faisla karnā hī paḌegā
tere liye behtar tirī duniyā hai ki maiñ huuñ
tasdīq jo tū ne mire hone kī abhī kī
ye dekh ke maiñ ne bhī ye sochā hai ki maiñ huuñ
jhilmil kabhī ehsās meñ bikhrī to ye sochā
mahtāb kisī jhiil meñ utrā hai ki maiñ huuñ
aise hī tazabzub meñ paḌā soch rahā huuñ
bādal hī bahut TuuT ke barsā hai ki maiñ huuñ
manzar jo ye dekhā hai to dil kaañp uThā hai
ye shāḳh se TuuTā huā pattā hai ki maiñ huuñ
un āñkhoñ meñ kyā jāniye kyā baat hai 'ahsan'
dekhā jo kisī ne yahī samjhā hai ki maiñ huuñ
ye sham ka baDhta hua saya hai ki main hun
ta-hadd-e-nazar aankh mein sahra hai ki main hun
aaKHir tujhe ye faisla karna hi paDega
tere liye behtar teri duniya hai ki main hun
tasdiq jo tu ne mere hone ki abhi ki
ye dekh ke main ne bhi ye socha hai ki main hun
jhilmil kabhi ehsas mein bikhri to ye socha
mahtab kisi jhil mein utra hai ki main hun
aise hi tazabzub mein paDa soch raha hun
baadal hi bahut TuT ke barsa hai ki main hun
manzar jo ye dekha hai to dil kanp uTha hai
ye shaKH se TuTa hua patta hai ki main hun
un aankhon mein kya jaaniye kya baat hai 'ahsan'
dekha jo kisi ne yahi samjha hai ki main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.