ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
ye shab to kyā sahar ko bhī shāyad nahīñ patā
maiñ āḳhirī charāġh huuñ sūraj ke shahr kā
bazm-e-sukūt-e-dil meñ hai halchal machī huī
sārañgiyāñ haiñ kis ke badan kī ġhazal-sarā
merī bayāz-e-dard vo paḌh kar bahut hañse
thā naam jin kā pahle varaq par likhā huā
dekhā 'ajīb ḳhvāb amāvas kī raat ne
ham chal rahe the chāñd pe donoñ barahna-pā
sho'loñ ke haath the ki ThiThurte chale ga.e
phir barf kā libās kisī ne pahan liyā
sone kī tashtarī meñ sajā kar na phuul bhej
ye khel mujh ġharīb se dekhā na jā.egā
ḳhushbū ke ḳhvāb meñ na Dhalī zindagī magar
chandan kī lakḌiyoñ se jalānā mirī chitā
kāġhaz kī naav aag ke dariyā meñ Daal dī
kyā jaane aur chāhtī kyā hai tirī anā
ai dost is qadar bhī akelā koī na ho
maiñ ḳhud bhī apne saath nahīñ dūsrā to kyā
ai 'prem' yuuñ to dhuum thī saare jahān meñ
apne hī ghar meñ koī hameñ pūchhtā na thā
ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
main aaKHiri charagh hun suraj ke shahr ka
bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui
sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara
meri bayaz-e-dard wo paDh kar bahut hanse
tha nam jin ka pahle waraq par likha hua
dekha 'ajib KHwab amawas ki raat ne
hum chal rahe the chand pe donon barahna-pa
sho'lon ke hath the ki ThiThurte chale gae
phir barf ka libas kisi ne pahan liya
sone ki tashtari mein saja kar na phul bhej
ye khel mujh gharib se dekha na jaega
KHushbu ke KHwab mein na Dhali zindagi magar
chandan ki lakDiyon se jalana meri chita
kaghaz ki naw aag ke dariya mein Dal di
kya jaane aur chahti kya hai teri ana
ai dost is qadar bhi akela koi na ho
main KHud bhi apne sath nahin dusra to kya
ai 'prem' yun to dhum thi sare jahan mein
apne hi ghar mein koi hamein puchhta na tha
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 173)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.