ye shab unhin zulfon ki karamat lage hai
ye shab unhīñ zulfoñ kī karāmāt lage hai
sunte the ġhazal meñ ye vahī raat lage hai
patthar kī tarah terī har ik baat lage hai
dil toḌ ke nāseh tujhe kyā haat lage hai
jiinā hī mohabbat meñ karāmāt lage hai
jī le hai jo marnā to use baat lage hai
ham ne jo diyā hai vo hameñ jaan rahe haiñ
sarmāya-e-ġham muft kahāñ haat lage hai
ārām kahāñ ahl-e-vafā ko kisī karvaT
ik aag hai siine meñ jo din-rāt lage hai
auroñ se mohabbat bhī ta'alluq bhī vafā bhī
ham se to kabhī kī na mulāqāt lage hai
ye shab unhin zulfon ki karamat lage hai
sunte the ghazal mein ye wahi raat lage hai
patthar ki tarah teri har ek baat lage hai
dil toD ke naseh tujhe kya hat lage hai
jina hi mohabbat mein karamat lage hai
ji le hai jo marna to use baat lage hai
hum ne jo diya hai wo hamein jaan rahe hain
sarmaya-e-gham muft kahan hat lage hai
aaram kahan ahl-e-wafa ko kisi karwaT
ek aag hai sine mein jo din-raat lage hai
auron se mohabbat bhi ta'alluq bhi wafa bhi
hum se to kabhi ki na mulaqat lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.