ye shagufe raat din khilte hain kis buniyaad par
ye shagūfe raat din khilte haiñ kis buniyād par
mujh ko hairat hai binā-e-gulshan-e-ījād par
ye zabāñ-bandī bhī ik be-dād hai be-dād par
muhr zālim ne lagā dī kyoñ lab-e-fariyād par
barq girne ko girī lekin zarā haT kar girī
aañch tak aane na paa.ī ḳhāna-e-sayyād par
but-kade kī niiv zāhid kis qadar mazbūt thī
aaj tak kā'ba bhī hai qaa.em usī buniyād par
ab vahī dībācha-e-ulfat meñ hai 'unvān-e-dil
thā jo ik qatra lahū kā nashtar-e-fassād par
mar gayā maiñ raah us kī dekh kar vā'de kī shab
bhūlne vaalā pashemāñ ab hai apnī yaad par
har kisī ke naam meñ taḳhsīs honī chāhiye
kyoñ na ai 'bismil' miTeñ ham ḳhanjar-e-jallād par
ye shagufe raat din khilte hain kis buniyaad par
mujh ko hairat hai bina-e-gulshan-e-ijad par
ye zaban-bandi bhi ek be-dad hai be-dad par
muhr zalim ne laga di kyon lab-e-fariyaad par
barq girne ko giri lekin zara haT kar giri
aanch tak aane na pai KHana-e-sayyaad par
but-kade ki niw zahid kis qadar mazbut thi
aaj tak ka'ba bhi hai qaem usi buniyaad par
ab wahi dibacha-e-ulfat mein hai 'unwan-e-dil
tha jo ek qatra lahu ka nashtar-e-fassad par
mar gaya main rah us ki dekh kar wa'de ki shab
bhulne wala pasheman ab hai apni yaad par
har kisi ke nam mein taKHsis honi chahiye
kyon na ai 'bismil' miTen hum KHanjar-e-jallad par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.