ye shohraton ke safar bhi ajib hote hain
ye shohratoñ ke safar bhī 'ajīb hote haiñ
ki ġham-gusār-e-mohabbat raqīb hote haiñ
jo kāhilī meñ qanā'at nasīb hote haiñ
vahī zamāne meñ dukh ke naqīb hote haiñ
talāsh-e-dard ho jin ko sukūn-e-dil ke liye
vo ahl-e-ġham bhī 'ajīb-o-ġharīb hote haiñ
jo dil meñ jazba-e-iḳhlās hī nahīñ rakhte
na jaane kyoñ vahī mere habīb hote haiñ
hamesha sach kī tarāzū meñ ḳhud ko jo toleñ
kisī bhī vaqt vo nazr-e-salīb hote haiñ
jo vāldain kī ḳhidmat se mustafīz na hoñ
vo bachche kitne baḌe kam-nasīb hote haiñ
kuchh aise log bhī hote haiñ zindagī meñ 'atīq'
jo duur hote hue bhī qarīb hote haiñ
ye shohraton ke safar bhi 'ajib hote hain
ki gham-gusar-e-mohabbat raqib hote hain
jo kahili mein qana'at nasib hote hain
wahi zamane mein dukh ke naqib hote hain
talash-e-dard ho jin ko sukun-e-dil ke liye
wo ahl-e-gham bhi 'ajib-o-gharib hote hain
jo dil mein jazba-e-iKHlas hi nahin rakhte
na jaane kyon wahi mere habib hote hain
hamesha sach ki taraazu mein KHud ko jo tolen
kisi bhi waqt wo nazr-e-salib hote hain
jo waldain ki KHidmat se mustafiz na hon
wo bachche kitne baDe kam-nasib hote hain
kuchh aise log bhi hote hain zindagi mein 'atiq'
jo dur hote hue bhi qarib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.