ye shoKHiyan ye KHumar jaise sharab aankhen
ye shoḳhiyāñ ye ḳhumār jaise sharāb āñkheñ
dikhā rahī haiñ har ek shab ham ko ḳhvāb āñkheñ
hameñ yaqīñ hai ki cameroñ kī nahīñ zarūrat
hamārā har pal jo kartī haiñ ehtisāb āñkheñ
lage hue haiñ qatār meñ be-shumār 'āqib'
na jaane kis kā kareñgī ab intiḳhāb āñkheñ
savāl dil ne kiyā mohabbat kā Darte Darte
to de rahī haiñ adā se jhuk kar javāb āñkheñ
hai rū-e-mahbūb sāmne us ghaḌī ki jis kā
tavāf kar ke kamā rahī haiñ savāb āñkheñ
palaT palaT kar ye dekhtī haiñ hamārī jānib
jo apne qaarī kī muntazir vo kitāb āñkheñ
maiñ do hī āñkheñ liye zamāne ko dekhtā thā
magar mujhe dekhtī rahīñ be-shumār āñkheñ
sanad mohabbat kī āshiqoñ ne yahīñ se paa.ī
kisī university kā jāma.a nisāb āñkheñ
kabhī sarāpā karam haiñ 'āqib' sarāpā rahmat
jo phir ga.iiñ to huiiñ sarāpā azaab āñkheñ
ye shoKHiyan ye KHumar jaise sharab aankhen
dikha rahi hain har ek shab hum ko KHwab aankhen
hamein yaqin hai ki cameron ki nahin zarurat
hamara har pal jo karti hain ehtisab aankhen
lage hue hain qatar mein be-shumar 'aqib'
na jaane kis ka karengi ab intiKHab aankhen
sawal dil ne kiya mohabbat ka Darte Darte
to de rahi hain ada se jhuk kar jawab aankhen
hai ru-e-mahbub samne us ghaDi ki jis ka
tawaf kar ke kama rahi hain sawab aankhen
palaT palaT kar ye dekhti hain hamari jaanib
jo apne qari ki muntazir wo kitab aankhen
main do hi aankhen liye zamane ko dekhta tha
magar mujhe dekhti rahin be-shumar aankhen
sanad mohabbat ki aashiqon ne yahin se pai
kisi uniwersity ka jama nisab aankhen
kabhi sarapa karam hain 'aqib' sarapa rahmat
jo phir gain to huin sarapa azab aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.