ye silsila-e-shoKHi-e-jaanana naya hai
ye silsila-e-shoḳhī-e-jānāna nayā hai
irshād huā hai ki ye dīvāna nayā hai
matlab to hai is se ki hai mai kitnī purānī
is se hameñ kyā kaam ki paimāna nayā hai
ā.īna-e-tajdīd hai tārīḳh-e-mohabbat
jis daur meñ bhī suniye ye afsāna nayā hai
kis dhoke meñ ho tum use kyoñ chheḌ rahe ho
zanjīr purānī sahī dīvāna nayā hai
aatā hai bahut der meñ laġhzish kā salīqa
saaqī se abhī shaiḳh kā yārāna nayā hai
ai sham' tirī sozish-e-derīna kī ho ḳhair
kuchh aaj mazāq-e-ġham-e-parvānā nayā hai
ik 'umr ke baad ab huā andāza-e-vahshat
jab us ne kahā merā ye dīvāna nayā hai
ye dekh ke rindān-e-kuhan baiThe hue haiñ
ġham kyā hai jo saaqī tirā mai-ḳhāna nayā hai
ab dil kī jagah phuul chaḌhāte haiñ butoñ par
is daur meñ dastūr-e-sanam-ḳhāna nayā hai
dāmān-e-tabassum meñ huā jazb har aañsū
ab ālam-e-lutf-e-ġham-e-jānāna nayā hai
karte haiñ salām aur baḌe andāz se 'jauhar'
yāroñ kā mire tarz-e-harīfāna nayā hai
ye silsila-e-shoKHi-e-jaanana naya hai
irshad hua hai ki ye diwana naya hai
matlab to hai is se ki hai mai kitni purani
is se hamein kya kaam ki paimana naya hai
aaina-e-tajdid hai tariKH-e-mohabbat
jis daur mein bhi suniye ye afsana naya hai
kis dhoke mein ho tum use kyon chheD rahe ho
zanjir purani sahi diwana naya hai
aata hai bahut der mein laghzish ka saliqa
saqi se abhi shaiKH ka yarana naya hai
ai sham' teri sozish-e-derina ki ho KHair
kuchh aaj mazaq-e-gham-e-parwana naya hai
ek 'umr ke baad ab hua andaza-e-wahshat
jab us ne kaha mera ye diwana naya hai
ye dekh ke rindan-e-kuhan baiThe hue hain
gham kya hai jo saqi tera mai-KHana naya hai
ab dil ki jagah phul chaDhate hain buton par
is daur mein dastur-e-sanam-KHana naya hai
daman-e-tabassum mein hua jazb har aansu
ab aalam-e-lutf-e-gham-e-jaanana naya hai
karte hain salam aur baDe andaz se 'jauhar'
yaron ka mere tarz-e-harifana naya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.