ye soch kar ki teri jabin par na bal paDe
ye soch kar ki terī jabīñ par na bal paḌe
bas duur hī se dekh liyā aur chal paḌe
dil meñ phir ik kasak sī uThī muddatoñ ke ba.ad
ik umr ke ruke hue aañsū nikal paḌe
siine meñ be-qarār haiñ murda mohabbateñ
mumkin hai ye charāġh kabhī ḳhud hī jal paḌe
ai dil tujhe badaltī huī rut se kyā milā
paudoñ meñ phuul aur daraḳhtoñ meñ phal paḌe
ab kis ke intizār meñ jāgeñ tamām shab
vo saath ho to niiñd meñ kaise ḳhalal paḌe
sūraj sī us kī tab.a hai sho.ala sā us kā rañg
chhū jaa.e us badan ko to paanī ubal paḌe
'shahzād' dil ko zabt kā yaarā nahīñ rahā
niklā jo māhtāb samundar uchhal paḌe
ye soch kar ki teri jabin par na bal paDe
bas dur hi se dekh liya aur chal paDe
dil mein phir ek kasak si uThi muddaton ke baad
ek umr ke ruke hue aansu nikal paDe
sine mein be-qarar hain murda mohabbaten
mumkin hai ye charagh kabhi KHud hi jal paDe
ai dil tujhe badalti hui rut se kya mila
paudon mein phul aur daraKHton mein phal paDe
ab kis ke intizar mein jagen tamam shab
wo sath ho to nind mein kaise KHalal paDe
suraj si us ki taba hai shoala sa us ka rang
chhu jae us badan ko to pani ubal paDe
'shahzad' dil ko zabt ka yara nahin raha
nikla jo mahtab samundar uchhal paDe
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 861)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.