ye soch soch ke karte hain KHud-kushi patthar
ye soch soch ke karte hain KHud-kushi patthar
Vijay kumar Swarnkar
MORE BYVijay kumar Swarnkar
ye soch soch ke karte haiñ ḳhud-kushī patthar
ki kis ke pher meñ aa kar huī nadī patthar
nazar-navāz ujāle kahāñ un āñkhoñ meñ
juḌe hue haiñ jahāñ do numā.ishī patthar
gunāh kyā hai sazā kyā hai aur kyā tauba
javāb sun ke na ho jaa.eñ aap bhī patthar
dabī paḌī haiñ ġharīboñ kī 'arziyāñ kab se
koī to aa.e haTā.e ye matlabī patthar
sadī badal ga.ī phir bhī dikhā.ī detī hai
ilāhabād ke path par vo toḌtī patthar
ye soch soch ke karte hain KHud-kushi patthar
ki kis ke pher mein aa kar hui nadi patthar
nazar-nawaz ujale kahan un aankhon mein
juDe hue hain jahan do numaishi patthar
gunah kya hai saza kya hai aur kya tauba
jawab sun ke na ho jaen aap bhi patthar
dabi paDi hain gharibon ki 'arziyan kab se
koi to aae haTae ye matlabi patthar
sadi badal gai phir bhi dikhai deti hai
ilahabaad ke path par wo toDti patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.