ye socha hai ki mar jaen tumhaare war se pahle
ye socha hai ki mar jaen tumhaare war se pahle
Iftikhar Shahid Abu Saad
MORE BYIftikhar Shahid Abu Saad
ye sochā hai ki mar jaa.eñ tumhāre vaar se pahle
tumhārī jiit ho jaa.e hamārī haar se pahle
kisī lamhe tumhārā vaar kaarī ho bhī saktā hai
magar ye sar hī jā.egā mirī dastār se pahle
batā kitnā girā saktā huuñ ḳhud ko terī ḳhvāhish par
mirā me.aar bhī to hai tire me.aar se pahle
nazāra-hā-e-dilkash se guzar jaatā thā begāna
magar ai qāmat-e-zebā tire dīdār se pahle
sitāroñ kī tarah chamke hamāre ḳhuun ke chhīñTe
ki ham ne sar kaTāyā hai farāz-e-dār se pahle
talātum-ḳhez maujoñ se mujhe laḌnā to aatā hai
magar maiñ Duub saktā huuñ kabhī mañjdhār se pahle
tirā hī aks merī aañkh ke til meñ farozāñ hai
tujhe maiñ dekh saktā huuñ tire dīdār se pahle
kahīñ bhī jurm se pahle sazā vājib nahīñ hotī
koī kāfir nahīñ hotā magar inkār se pahle
na.e imkān DhūñDegī hamārī justujū 'shāhid'
ham ab ke dar banā.eñge magar dīvār se pahle
ye socha hai ki mar jaen tumhaare war se pahle
tumhaari jit ho jae hamari haar se pahle
kisi lamhe tumhaara war kari ho bhi sakta hai
magar ye sar hi jaega meri dastar se pahle
bata kitna gira sakta hun KHud ko teri KHwahish par
mera mear bhi to hai tere mear se pahle
nazara-ha-e-dilkash se guzar jata tha begana
magar ai qamat-e-zeba tere didar se pahle
sitaron ki tarah chamke hamare KHun ke chhinTe
ki hum ne sar kaTaya hai faraaz-e-dar se pahle
talatum-KHez maujon se mujhe laDna to aata hai
magar main Dub sakta hun kabhi manjdhaar se pahle
tera hi aks meri aankh ke til mein farozan hai
tujhe main dekh sakta hun tere didar se pahle
kahin bhi jurm se pahle saza wajib nahin hoti
koi kafir nahin hota magar inkar se pahle
nae imkan DhunDegi hamari justuju 'shahid'
hum ab ke dar banaenge magar diwar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.