ye socha hi na tha humne ki yun qadr-e-hunar hogi
ye sochā hī na thā ham ne ki yuuñ qadr-e-hunar hogī
hamāre ghar kī pahre-dār taftīshī ḳhabar hogī
zamīñ bhī tang hotī jā rahī hai uḌne vāloñ par
bhalā kyā aur is se baḌh ke tauhīn-e-bashar hogī
na.e manzar na.ī ḳhushiyoñ kā muzhda le ke ubhreñge
chale aao na.e andāz se zauq-e-nazar hogī
kabhī sochā na thā chup-chāp jhoñke yuuñ bhī guzreñge
na kaliyoñ ko ḳhabar hogī na phūloñ ko ḳhabar hogī
bhalā shab ke musāfir kā bhī koī saath detā hai
ab aise mausamoñ ke saath kyā apnī basar hogī
hameñ in bārishoñ se koī samjhautā to karnā hai
ye Thahrāv rahā to apnī manzil kaise sar hogī
havā.eñ ḳhushbuoñ kā saath ab detī nahīñ 'nāshir'
hamārī mausamoñ ke saath phir kyūñkar guzar hogī
ye socha hi na tha hum ne ki yun qadr-e-hunar hogi
hamare ghar ki pahre-dar taftishi KHabar hogi
zamin bhi tang hoti ja rahi hai uDne walon par
bhala kya aur is se baDh ke tauhin-e-bashar hogi
nae manzar nai KHushiyon ka muzhda le ke ubhrenge
chale aao nae andaz se zauq-e-nazar hogi
kabhi socha na tha chup-chap jhonke yun bhi guzrenge
na kaliyon ko KHabar hogi na phulon ko KHabar hogi
bhala shab ke musafir ka bhi koi sath deta hai
ab aise mausamon ke sath kya apni basar hogi
hamein in barishon se koi samjhauta to karna hai
ye Thahraw raha to apni manzil kaise sar hogi
hawaen KHushbuon ka sath ab deti nahin 'nashir'
hamari mausamon ke sath phir kyunkar guzar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.