ye socho KHud bhi kya achchha nahin hai
ye socho KHud bhi kya achchha nahin hai
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri
ye socho ḳhud bhī kyā achchhā nahīñ hai
kitāboñ meñ to sab likkhā nahīñ hai
batā.ūñ kyā hai kitnī duur manzil
ki maiñ ne rāsta naapā nahīñ hai
jilā baḳhshuñgā maiñ tārīkiyoñ ko
ujāloñ se koī va.adā nahīñ hai
havāoñ kī bhī kuchh majbūriyāñ haiñ
jo bādal chhā ke bhī barsā nahīñ hai
maiñ ye parkhūñ hai tum meñ zarf kitnā
ki dekhūñ zarf hai bhī yā nahīñ hai
maiñ kaise ġham ko bāñTūñ dostoñ meñ
ki ġham hai taash kā pattā nahīñ hai
hai terī zehniyat kā ranj varna
jo dil par zaḳhm hai gahrā nahīñ hai
ho jo bhī ḳhud-shanāsī kā zarīya
magar 'abbād' ā.īna nahīñ hai
ye socho KHud bhi kya achchha nahin hai
kitabon mein to sab likkha nahin hai
bataun kya hai kitni dur manzil
ki main ne rasta napa nahin hai
jila baKHshunga main tarikiyon ko
ujalon se koi wada nahin hai
hawaon ki bhi kuchh majburiyan hain
jo baadal chha ke bhi barsa nahin hai
main ye parkhun hai tum mein zarf kitna
ki dekhun zarf hai bhi ya nahin hai
main kaise gham ko banTun doston mein
ki gham hai tash ka patta nahin hai
hai teri zehniyat ka ranj warna
jo dil par zaKHm hai gahra nahin hai
ho jo bhi KHud-shanasi ka zariya
magar 'abbaad' aaina nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.