ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun
ye sochtā huuñ charāġhoñ kā ehtimām karūñ
havā ko bhuuk lagī hai kuchh intizām karūñ
har ek saañs ragaḌ khā rahī hai siine meñ
aur aap kahte haiñ aahoñ pe aur kaam karūñ
abhī to dil kī qayādat meñ paañv nikle haiñ
talāsh-e-ishq ruke to kahīñ qayām karūñ
ḳhatā-muāf magar itnā be-adab bhī nahīñ
baġhair dil kī ijāzat tumheñ salām karūñ
faqīr-e-ishq huuñ kashkol-e-dil meñ hasrat hai
gadāgarī kā mahāsil bhī tere naam karūñ
mire junūn ko sahrā hī jhel saktā hai
kahīñ jo shahr meñ niklūñ to qatl-e-ām karūñ
ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun
hawa ko bhuk lagi hai kuchh intizam karun
har ek sans ragaD kha rahi hai sine mein
aur aap kahte hain aahon pe aur kaam karun
abhi to dil ki qayaadat mein panw nikle hain
talash-e-ishq ruke to kahin qayam karun
KHata-muaf magar itna be-adab bhi nahin
baghair dil ki ijazat tumhein salam karun
faqir-e-ishq hun kashkol-e-dil mein hasrat hai
gadagari ka mahasil bhi tere nam karun
mere junun ko sahra hi jhel sakta hai
kahin jo shahr mein niklun to qatl-e-am karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.