ye suhulat to hai bichhaDne mein
ye suhūlat to hai bichhaḌne meñ
koī diqqat na ho mukarne meñ
ab havā ko bhī e'tirāz nahīñ
tāqche par charāġh dharne meñ
shaam to kab kī ho chukī huī thī
lag ga.ī der dhuup Dhalne meñ
sab kā nuqsān ek jaisā hai
fā.eda kuchh nahīñ jhagaḌne meñ
dā.ere kā safar zarūrī hai
aage baḌhne meñ pīchhe haTne meñ
bas salīqe kā farq hotā hai
baat kahne meñ baat karne meñ
us ne ḳhud par nigāh Dālnī thī
aa.ine lag ga.e sañvarne meñ
faisla ek pal kā thā 'mahbūb'
ik sadī lag ga.ī guzarne meñ
ye suhulat to hai bichhaDne mein
koi diqqat na ho mukarne mein
ab hawa ko bhi e'tiraaz nahin
taqche par charagh dharne mein
sham to kab ki ho chuki hui thi
lag gai der dhup Dhalne mein
sab ka nuqsan ek jaisa hai
faeda kuchh nahin jhagaDne mein
daere ka safar zaruri hai
aage baDhne mein pichhe haTne mein
bas saliqe ka farq hota hai
baat kahne mein baat karne mein
us ne KHud par nigah Dalni thi
aaine lag gae sanwarne mein
faisla ek pal ka tha 'mahbub'
ek sadi lag gai guzarne mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.