ye sun ke maqtal ko ja rahe hain ki aaj qissa tamam hoga
ye sun ke maqtal ko ja rahe hain ki aaj qissa tamam hoga
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
ye sun ke maqtal ko jā rahe haiñ ki aaj qissa tamām hogā
yahī to hogā na jaan leñge hamārā is meñ bhī kaam hogā
na dil ko yaarā na tāb-o-tāqat bayān kyā ho zabāñ se hālat
kabhī to āshiq pe ho ināyat firāq meñ ye tamām hogā
tumhārī zulfoñ kī ham ko ulfat baḌhā.egī dil meñ itnī vahshat
ye kyā ḳhabar thī ki ban ke majnūñ hamārā ban-ban qayām hogā
hameñ hai kaafī vo chashm-e-mai-gūñ usī kī dhun meñ jigar hai pur-ḳhūñ
na ḳhum kī ḳhvāhish na hai subū kī bilā piye apnā kaam hogā
kahūñ maiñ kis se ab haal dil kā sambhālegā kaun is ko aa kar
nahīñ hai ġhairoñ se un ko fursat ġharīb yūñhī tamām hogā
sitam karo jis qadar bhī chāho hamārā nuqsān kuchh nahīñ hai
kaheñge sab pur-jafā tumhīñ ko tumhārā mash.hūr naam hogā
yahī hai 'āfāq' dil kī hasrat nazar se dekheñ kisī kā jalvā
isī tamannā meñ jaan deñge kabhī to dīdār-e-ām hogā
ye sun ke maqtal ko ja rahe hain ki aaj qissa tamam hoga
yahi to hoga na jaan lenge hamara is mein bhi kaam hoga
na dil ko yara na tab-o-taqat bayan kya ho zaban se haalat
kabhi to aashiq pe ho inayat firaq mein ye tamam hoga
tumhaari zulfon ki hum ko ulfat baDhaegi dil mein itni wahshat
ye kya KHabar thi ki ban ke majnun hamara ban-ban qayam hoga
hamein hai kafi wo chashm-e-mai-gun usi ki dhun mein jigar hai pur-KHun
na KHum ki KHwahish na hai subu ki bila piye apna kaam hoga
kahun main kis se ab haal dil ka sambhaalega kaun is ko aa kar
nahin hai ghairon se un ko fursat gharib yunhi tamam hoga
sitam karo jis qadar bhi chaho hamara nuqsan kuchh nahin hai
kahenge sab pur-jafa tumhin ko tumhaara mashhur nam hoga
yahi hai 'afaq' dil ki hasrat nazar se dekhen kisi ka jalwa
isi tamanna mein jaan denge kabhi to didar-e-am hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.