ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke
ye surma.ī āfāq ye sham.oñ ke dhundalke
aa jaao bhī yādoñ ke jharokoñ se nikal ke
dīvāne chale aate haiñ sahrā se nikal ke
rakh deñ na kahīñ nazm-e-gulistāñ hī badal ke
phūloñ kī tarah un kī hifāzat hai zarūrī
ye aaj ke bachche hī baḌe hote haiñ kal ke
hai jab to tahammul ki koī aah na nikle
ik ashk kā qatra mirī palkoñ se na Dhalke
do roTiyāñ izzat se jo mil jaa.eñ to bas hai
darvāze pe le jaa.e na vaqt ahl-e-duval ke
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ tire chāhne vaale
hālāt ke tapte hue sahrā se nikal ke
ham dast-darāzī ke to qaa.il nahīñ saaqī
hisse meñ hamāre bhī agar mai ho to chhalke
fankār kī muñh boltī tasvīr hai fan bhī
tum kyā ho batā dete haiñ ash.ār ġhazal ke
kaafī hai hamāre liye miTTī ke gharauñde
ham ḳhāk-basar ahl nahīñ 'tāj' mahal ke
ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke
aa jao bhi yaadon ke jharokon se nikal ke
diwane chale aate hain sahra se nikal ke
rakh den na kahin nazm-e-gulistan hi badal ke
phulon ki tarah un ki hifazat hai zaruri
ye aaj ke bachche hi baDe hote hain kal ke
hai jab to tahammul ki koi aah na nikle
ek ashk ka qatra meri palkon se na Dhalke
do roTiyan izzat se jo mil jaen to bas hai
darwaze pe le jae na waqt ahl-e-duwal ke
jaen to kahan jaen tere chahne wale
haalat ke tapte hue sahra se nikal ke
hum dast-daraazi ke to qail nahin saqi
hisse mein hamare bhi agar mai ho to chhalke
fankar ki munh bolti taswir hai fan bhi
tum kya ho bata dete hain ashaar ghazal ke
kafi hai hamare liye miTTi ke gharaunde
hum KHak-basar ahl nahin 'taj' mahal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.