ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi
ye tamanna nahīñ ab dād-e-hunar de koī
aa ke mujh ko mire hone kī ḳhabar de koī
ek muddat se hai dil kāsa-e-ḳhālī kī tarah
kisī shīshe meñ lahū hove to bhar de koī
har jagah saath rahegī yahī dīvār kī qaid
sar uThāne ko hameñ kaun sā ghar de koī
mīr-e-mahfil ko gavāra nahīñ ye tarz-e-kalām
sham'-e-kushta ko jo ‘unvān-e-sahar de koī
sāhib-e-fan ko bas ik ġhuncha-e-taḳhlīq bahut
varna be-sūd agar 'umr-e-ḳhizar de koī
ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi
aa ke mujh ko mere hone ki KHabar de koi
ek muddat se hai dil kasa-e-KHali ki tarah
kisi shishe mein lahu howe to bhar de koi
har jagah sath rahegi yahi diwar ki qaid
sar uThane ko hamein kaun sa ghar de koi
mir-e-mahfil ko gawara nahin ye tarz-e-kalam
sham'-e-kushta ko jo ‘unwan-e-sahar de koi
sahib-e-fan ko bas ek ghuncha-e-taKHliq bahut
warna be-sud agar 'umr-e-KHizar de koi
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 32)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.