ye tark KHatm ho gaya guzri sadi ke sath
ye tark ḳhatm ho gayā guzrī sadī ke saath
milte nahīñ haiñ dost kabhī dushmanī ke saath
farmān sach ko jhuuT mujhe bolne kā thā
lekin dikhāyā aa.ina zinda-dilī ke saath
duniyā badal rahī hai yahī sun rahe haiñ ham
kyā is liye hī rahte nahīñ sādgī ke saath
bachchoñ ko Tokne kā zamāna nahīñ rahā
māñ-bāp jī rahe haiñ baḌī bebasī ke saath
sūraj kī raushnī meñ charāġhoñ ko rakh diyā
ye imtihān ḳhuub huā muflisī ke saath
bebāk bolne kā ye in'ām mil gayā
guzrī tamām 'umr mirī be-ruḳhī ke saath
kahne ko kaan sab ke haiñ suntā nahīñ koī
aise meñ sun rahe haiñ mujhe ḳhāmushī ke saath
ye tark KHatm ho gaya guzri sadi ke sath
milte nahin hain dost kabhi dushmani ke sath
farman sach ko jhuT mujhe bolne ka tha
lekin dikhaya aaina zinda-dili ke sath
duniya badal rahi hai yahi sun rahe hain hum
kya is liye hi rahte nahin sadgi ke sath
bachchon ko Tokne ka zamana nahin raha
man-bap ji rahe hain baDi bebasi ke sath
suraj ki raushni mein charaghon ko rakh diya
ye imtihan KHub hua muflisi ke sath
bebak bolne ka ye in'am mil gaya
guzri tamam 'umr meri be-ruKHi ke sath
kahne ko kan sab ke hain sunta nahin koi
aise mein sun rahe hain mujhe KHamushi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.