ye tasalli ye dilasa ye sahaara naTak
ye tasallī ye dilāsa ye sahārā nāTak
kitnā pyārā hai mire yaar tumhārā nāTak
dard sahne kī aziyyat se guzāreñ tum ko
ham bhī dikhlā.eñ kisī roz karārā nāTak
band kar dījiye bandoñ ko milānā rab se
band kar dījiye ab apnā ḳhudārā nāTak
ek jaise haiñ tire aur mire ġham jānāñ
ek jaisā hai tirā aur hamārā nāTak
us kī āñkhoñ se gire ashk to motī ho jaa.eñ
merī āñkhoñ se chhalaktā huā taarā nāTak
ham adākār to chalte the hidāyat le kar
apnī marzī se kahāñ ham ne guzārā nāTak
lahlahāte hue bāġhāt sukūñ amn-o-amāñ
ek tasvīr meñ dekhā gayā saarā nāTak
ye to ham haiñ jo tumheñ sar pe chaḌhā rakkhā hai
varna kis ko hai mirī jaan gavārā nāTak
uñgliyāñ kis kī haiñ 'ārif' jo nachātī haiñ hameñ
ḳhud samajh aayā nahīñ ham ko hamārā nāTak
ye tasalli ye dilasa ye sahaara naTak
kitna pyara hai mere yar tumhaara naTak
dard sahne ki aziyyat se guzaren tum ko
hum bhi dikhlaen kisi roz karara naTak
band kar dijiye bandon ko milana rab se
band kar dijiye ab apna KHudara naTak
ek jaise hain tere aur mere gham jaanan
ek jaisa hai tera aur hamara naTak
us ki aankhon se gire ashk to moti ho jaen
meri aankhon se chhalakta hua tara naTak
hum adakar to chalte the hidayat le kar
apni marzi se kahan hum ne guzara naTak
lahlahate hue baghat sukun amn-o-aman
ek taswir mein dekha gaya sara naTak
ye to hum hain jo tumhein sar pe chaDha rakkha hai
warna kis ko hai meri jaan gawara naTak
ungliyan kis ki hain 'arif' jo nachati hain hamein
KHud samajh aaya nahin hum ko hamara naTak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.