ye tera iKHtiyar hai jo de saza mujhe
ye terā iḳhtiyār hai jo de sazā mujhe
mujrim magar na maan yūñhī be-ḳhatā mujhe
maiñ ajnabī nahīñ huuñ tirā tarjumān huuñ
ḳhāmoshiyoñ ke shahr kabhī de sadā mujhe
auroñ pe e'timād na kar choT khā.egā
mumkin ho jis tarah se bas apnā banā mujhe
kab tak sunātā jā.ūñ tujhe apne vāqi.āt
kuchh apnī dāstāñ bhī to āḳhir sunā mujhe
merā vajūd ban gayā sahrā kī tishnagī
tere badan kī chāhiye ab to ghaTā mujhe
us ke huzūr maiñ hī ḳhatā-kār huuñ 'matīn'
merī vafā kā achchhā sila ye milā mujhe
ye tera iKHtiyar hai jo de saza mujhe
mujrim magar na man yunhi be-KHata mujhe
main ajnabi nahin hun tera tarjuman hun
KHamoshiyon ke shahr kabhi de sada mujhe
auron pe e'timad na kar choT khaega
mumkin ho jis tarah se bas apna bana mujhe
kab tak sunata jaun tujhe apne waqiat
kuchh apni dastan bhi to aaKHir suna mujhe
mera wajud ban gaya sahra ki tishnagi
tere badan ki chahiye ab to ghaTa mujhe
us ke huzur main hi KHata-kar hun 'matin'
meri wafa ka achchha sila ye mila mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.