ye tera KHana-e-dil mein bhi rahna aur juda rahna
ye tera KHana-e-dil mein bhi rahna aur juda rahna
Rao Mohammad Umar
MORE BYRao Mohammad Umar
ye terā ḳhāna-e-dil meñ bhī rahnā aur judā rahnā
kahāñ se sīkhā tū ne ai but-e-kāfir ḳhudā rahnā
asā-e-dil tamīz-e-haqq-o-bātil khīñch detā hai
use baḳhshā gayā hai dahr meñ yuuñ haq-numā rahnā
hasad lālach fareb-o-makr nafrat sab milāvaT hai
ki insāñ-martabat lāzim hai in se māvarā rahnā
tirī qismat meñ likkhā hai ai dil is shahr-e-behis meñ
kisī muflis kī kuTiyā ke diye sā bas bujhā rahnā
ajab ye sāneha hai fardī tanhā.ī-o-yaktā.ī
kisī ke qurb meñ hote hue bhī dūsrā rahnā
ye tera KHana-e-dil mein bhi rahna aur juda rahna
kahan se sikha tu ne ai but-e-kafir KHuda rahna
asa-e-dil tamiz-e-haqq-o-baatil khinch deta hai
use baKHsha gaya hai dahr mein yun haq-numa rahna
hasad lalach fareb-o-makr nafrat sab milawaT hai
ki insan-martabat lazim hai in se mawara rahna
teri qismat mein likkha hai ai dil is shahr-e-behis mein
kisi muflis ki kuTiya ke diye sa bas bujha rahna
ajab ye saneha hai fardi tanhai-o-yaktai
kisi ke qurb mein hote hue bhi dusra rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.