ye teri chah ke gul kis tarah utarte hain
ye terī chaah ke gul kis tarah utarte haiñ
ki tujh se shahr ke andhe bhī 'ishq karte haiñ
ye terī zulfoñ ke nashshe meñ kaun khoyā hai
ye zā’frān idhar ke kidhar bikharte haiñ
udhar kisī ke laboñ par chaḌhe kisī ke lab
idhar ġhazal meñ mire zaḳhm kuchh ubharte haiñ
huzūr aap kā ā.īna bhī hai nā-mahram
to is ke aage bhalā kis liye sañvarte haiñ
jahāñ meñ aa.e haiñ marne ke vāste 'sābir'
us ek shaḳhs pe bas is liye hī marte haiñ
ye teri chah ke gul kis tarah utarte hain
ki tujh se shahr ke andhe bhi 'ishq karte hain
ye teri zulfon ke nashshe mein kaun khoya hai
ye za’fran idhar ke kidhar bikharte hain
udhar kisi ke labon par chaDhe kisi ke lab
idhar ghazal mein mere zaKHm kuchh ubharte hain
huzur aap ka aaina bhi hai na-mahram
to is ke aage bhala kis liye sanwarte hain
jahan mein aae hain marne ke waste 'sabir'
us ek shaKHs pe bas is liye hi marte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.