ye teri jo parchhai hai
ye terī jo parchhā.ī hai
lagtā hai shāmat aa.ī hai
us ne ek nazar dekhī aur
maut ghaTā ban kar chhā.ī hai
aise dastak dī hai dil par
jaan zarā sī ghabrā.ī hai
maiñ ne bhī ḳhush-fahmī paalī
vo bhī thoḌā itrā.ī hai
maiñ pūrā-pūrā us kā huuñ
vo bas merā chauthā.ī hai
kis manhūs ghaḌī meñ merī
tujh se qismat Takrā.ī hai
darvāza khulte hī maiñ ab
jaan gayā huuñ tanhā.ī hai
kaun karegā is ko puurā
prem kā akshar to Dhaa.ī hai
ye teri jo parchhai hai
lagta hai shamat aai hai
us ne ek nazar dekhi aur
maut ghaTa ban kar chhai hai
aise dastak di hai dil par
jaan zara si ghabrai hai
main ne bhi KHush-fahmi pali
wo bhi thoDa itrai hai
main pura-pura us ka hun
wo bas mera chauthai hai
kis manhus ghaDi mein meri
tujh se qismat Takrai hai
darwaza khulte hi main ab
jaan gaya hun tanhai hai
kaun karega is ko pura
prem ka akshar to Dhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.