ye Thik hai wo hum ko mayassar nahin hua
ye Thiik hai vo ham ko mayassar nahīñ huā
lekin kahāñ kahāñ vo munavvar nahīñ huā
lauTā jo shaam ko to koī muntazir na thā
is baar be-qarār mirā ghar nahīñ huā
kyā jaane kab utarne lage vo dimāġh par
koī junūñ kā vaqt muqarrar nahīñ huā
sab jītne kī zid pe yahāñ hārne lage
sadiyoñ se koī shaḳhs sikandar nahīñ huā
baazū to kaT ke juḌ ga.e merī hayāt se
lekin abhī nasīb mujhe sar nahīñ huā
phal toḌ letā aaj maiñ apnī hayāt kā
achchhā huā ki haath meñ patthar nahīñ huā
sahrā se lākhoñ baar nichoḌī ga.ī hai pyaas
phir bhī samundaroñ kā galā tar nahīñ huā
ye Thik hai wo hum ko mayassar nahin hua
lekin kahan kahan wo munawwar nahin hua
lauTa jo sham ko to koi muntazir na tha
is bar be-qarar mera ghar nahin hua
kya jaane kab utarne lage wo dimagh par
koi junun ka waqt muqarrar nahin hua
sab jitne ki zid pe yahan haarne lage
sadiyon se koi shaKHs sikandar nahin hua
bazu to kaT ke juD gae meri hayat se
lekin abhi nasib mujhe sar nahin hua
phal toD leta aaj main apni hayat ka
achchha hua ki hath mein patthar nahin hua
sahra se lakhon bar nichoDi gai hai pyas
phir bhi samundaron ka gala tar nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.