ye titliyon ka jo lashkar hawa mein uDta hai
ye titliyoñ kā jo lashkar havā meñ uḌtā hai
hamāre ḳhuun kā paikar havā meñ uḌtā hai
mujhe satātā hai aksar ḳhayāl-e-shīsha-garāñ
agar kahīñ koī patthar havā meñ uḌtā hai
kisī daraḳht ke nīche sukūñ na pāoge
tamām karb kā mahshar havā meñ uḌtā hai
miyāñ mazāq-o-gila kā ḳhayāl kyā karnā
yahāñ to tanz kā daftar havā meñ uḌtā hai
rafāqatoñ kī fasīleñ bikhar rahī haiñ tamām
magar fareb ye muztar havā meñ uḌtā hai
bas ek qatre ko 'betāb' maiñ tarastā huuñ
ye aur baat samundar havā meñ uḌtā hai
ye titliyon ka jo lashkar hawa mein uDta hai
hamare KHun ka paikar hawa mein uDta hai
mujhe satata hai aksar KHayal-e-shisha-garan
agar kahin koi patthar hawa mein uDta hai
kisi daraKHt ke niche sukun na paoge
tamam karb ka mahshar hawa mein uDta hai
miyan mazaq-o-gila ka KHayal kya karna
yahan to tanz ka daftar hawa mein uDta hai
rafaqaton ki fasilen bikhar rahi hain tamam
magar fareb ye muztar hawa mein uDta hai
bas ek qatre ko 'betab' main tarasta hun
ye aur baat samundar hawa mein uDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.