ye to duniya hai zarurat se mila karti hai
ye to duniyā hai zarūrat se milā kartī hai
ek maañ hai jo mire haq meñ du'ā kartī hai
vaqt to phuus pe rakh detā hai ik chingārī
aur baaqī jo bache kaam havā kartī hai
ek tinkā bhī ulajh paḌtā hai tūfānoñ se
izzat-e-nafs har ik shai meñ huā kartī hai
dūsrā kaam nahīñ hai koī us ko shāyad
guftugū apnī ye dīvār sunā kartī hai
mere andar bhī utar jaatī hai gāhe-gāhe
raushnī yuuñ to darīche meñ rahā kartī hai
sub.h hote hī chalī jaa.e khañDar ke andar
zindagī raat ko sahrā meñ phirā kartī hai
merī palkoñ pe Thahar jaatī hai aakar sar-e-shām
chāñdnī roz na.e ḳhvāb bunā kartī hai
vo havā hai ki jo har roz chaman se aakar
ḳhushbueñ shahr meñ taqsīm kiyā kartī hai
raaz ye khul na sakā kis liye āḳhir ai 'nūr'
huuk sī roz mire dil meñ uThā kartī hai
ye to duniya hai zarurat se mila karti hai
ek man hai jo mere haq mein du'a karti hai
waqt to phus pe rakh deta hai ek chingari
aur baqi jo bache kaam hawa karti hai
ek tinka bhi ulajh paDta hai tufanon se
izzat-e-nafs har ek shai mein hua karti hai
dusra kaam nahin hai koi us ko shayad
guftugu apni ye diwar suna karti hai
mere andar bhi utar jati hai gahe-gahe
raushni yun to dariche mein raha karti hai
subh hote hi chali jae khanDar ke andar
zindagi raat ko sahra mein phira karti hai
meri palkon pe Thahar jati hai aakar sar-e-sham
chandni roz nae KHwab buna karti hai
wo hawa hai ki jo har roz chaman se aakar
KHushbuen shahr mein taqsim kiya karti hai
raaz ye khul na saka kis liye aaKHir ai 'nur'
huk si roz mere dil mein uTha karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.