ye to gham subh-o-sham ka nikla
ye to gham subh-o-sham ka nikla
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
ye to ġham sub.h-o-shām kā niklā
ishq bhī kitne kaam kā niklā
mere iz.hār par vo barham hai
kuchh to mauqa kalām kā niklā
raah meñ vo mile magar do pal
saath do-chār gaam kā niklā
tum bulāte ho ab na aate ho
kyā qusūr is ġhulām kā niklā
ban ga.ī jhoñpḌī ġharīboñ kī
peḌ kaT kar bhī kaam kā niklā
ishq thā dil kā mas.ala phir bhī
mas.ala ye avaam kā niklā
hijr meñ us ke ro liye 'zākir'
ḳhuun to dil meñ naam kā niklā
ye to gham subh-o-sham ka nikla
ishq bhi kitne kaam ka nikla
mere izhaar par wo barham hai
kuchh to mauqa kalam ka nikla
rah mein wo mile magar do pal
sath do-chaar gam ka nikla
tum bulate ho ab na aate ho
kya qusur is ghulam ka nikla
ban gai jhonpDi gharibon ki
peD kaT kar bhi kaam ka nikla
ishq tha dil ka masala phir bhi
masala ye awam ka nikla
hijr mein us ke ro liye 'zakir'
KHun to dil mein nam ka nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.