ye to hum kah nahin sakte wo ham-aghosh raha
ye to ham kah nahīñ sakte vo ham-āġhosh rahā
haañ magar dil meñ hamāre koī rū-posh rahā
chhā gayā bazm meñ saaqī kā ye andāz-e-bayāñ
apnī sī kah gayā har ek vo ḳhāmosh rahā
kahte haiñ sach hai hameñ dekh ke be-ḳhud hue tum
TikTikī bāñdh ke dekhā kiye ye hosh rahā
kah diyā āñkhoñ ne sab haal hamārā un se
aur jis dil se thī ummīd vo ḳhāmosh rahā
but-kada ho gayā sunsān tire jaane se
umr bhar ḳhāna-e-ka.aba bhī siyah-posh rahā
chāhne vāloñ kā chun chun ke kiyā kaam tamām
bār-e-ulfat se hamesha vo subuk-dosh rahā
sab kī ulfat se to inkār kiyā us ne magar
'mast' kā naam jab aaya to vo ḳhāmosh rahā
ye to hum kah nahin sakte wo ham-aghosh raha
han magar dil mein hamare koi ru-posh raha
chha gaya bazm mein saqi ka ye andaz-e-bayan
apni si kah gaya har ek wo KHamosh raha
kahte hain sach hai hamein dekh ke be-KHud hue tum
TikTiki bandh ke dekha kiye ye hosh raha
kah diya aankhon ne sab haal hamara un se
aur jis dil se thi ummid wo KHamosh raha
but-kada ho gaya sunsan tere jaane se
umr bhar KHana-e-kaba bhi siyah-posh raha
chahne walon ka chun chun ke kiya kaam tamam
bar-e-ulfat se hamesha wo subuk-dosh raha
sab ki ulfat se to inkar kiya us ne magar
'mast' ka nam jab aaya to wo KHamosh raha
- Book : Ghazal Usne Chhedi-4 (Pg. 329)
- Publication : Rekhta Kitaben
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.