ye to koi nahin samjha ki tamasha kya hai
ye to koī nahīñ samjhā ki tamāshā kyā hai
ik hasīñ ḳhvāb hai bas aur ye duniyā kyā hai
ye batā de ki yahāñ tere 'alāva kyā hai
dil bhī terā hai tirī jaañ bhī hamārā kyā hai
hosh rahtā hī nahīñ 'ishq meñ aisā kyā hai
aur na ho 'ishq to phir ziist meñ rakkhā kyā hai
tū na hotā to mo'amma kā koī hal hī na thā
maqsad-e-zīst hai kyā hāsil-e-duniyā kyā hai
ye alag baat tirā naam to sab lete haiñ
ye alag baat tire naam pe hotā kyā hai
merī puujā hai parastish hai tapasyā hai tū
tujh ko mā'lūm nahīñ merī tamanna kyā hai
aaj qismat ne milāyā hai to āñkheñ na churā
aatī jaatī huī sāñsoñ kā bharosa kyā hai
vo to maazī kī tarah chhoḌ gayā hai mujh ko
zindagī ab ye batā terā irāda kyā hai
sone aur chāñdī kī ḳhvāhish to burī baat nahīñ
pahle ye soch lo 'gulshan' ki zamāna kyā hai
ye to koi nahin samjha ki tamasha kya hai
ek hasin KHwab hai bas aur ye duniya kya hai
ye bata de ki yahan tere 'alawa kya hai
dil bhi tera hai teri jaan bhi hamara kya hai
hosh rahta hi nahin 'ishq mein aisa kya hai
aur na ho 'ishq to phir zist mein rakkha kya hai
tu na hota to mo'amma ka koi hal hi na tha
maqsad-e-zist hai kya hasil-e-duniya kya hai
ye alag baat tera nam to sab lete hain
ye alag baat tere nam pe hota kya hai
meri puja hai parastish hai tapasya hai tu
tujh ko ma'lum nahin meri tamanna kya hai
aaj qismat ne milaya hai to aankhen na chura
aati jati hui sanson ka bharosa kya hai
wo to mazi ki tarah chhoD gaya hai mujh ko
zindagi ab ye bata tera irada kya hai
sone aur chandi ki KHwahish to buri baat nahin
pahle ye soch lo 'gulshan' ki zamana kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.