ye to mana ki tumhein ghair se nisbat kaisi
ye to maanā ki tumheñ ġhair se nisbat kaisī
ho rahī hai sar-e-bāzār ye shohrat kaisī
aap kī ḳhām-ḳhayālī hai faqat hazrat-e-dil
vo 'adāvat bhī nahīñ rakhte mohabbat kaisī
dard-e-furqat bhī huā shāmil-e-rashk-e-aġhyār
ye musībat meñ na.ī aur musībat kaisī
bhole-bhāle haiñ sitam un ko kahāñ se aaya
muft meñ log lagāte haiñ ye tohmat kaisī
chāhne vaale nirāle haiñ tire duniyā se
jaan qurbān kareñ tujh pe ye daulat kaisī
vasf-e-aġhyār vo mujh se hī bayāñ karte haiñ
dekhiye sūjhī hai ye un ko sharārat kaisī
mudda'ā ye hai ki taḌpā hī kare furqat meñ
vo jatāte haiñ mohabbat dam-e-ruḳhsat kaisī
vasl meñ sharf ne chhoḌā thā ba-mushkil dāman
darmiyāñ ho ga.ī haa.il ye nazākat kaisī
ḳhud-baḳhud pyaar jise dekhte hī aatā hai
pyārī pyārī hai ḳhudā rakkhe vo sūrat kaisī
jo tirī chaal se barpā ho vo fitna kaisā
jo tirī raah se uTThe vo qayāmat kaisī
ḳhāna-e-dahr hai goyā ki musāfir-ḳhāna
ġhāfilo niiñd sar-e-bistar-e-rāhat kaisī
vo to aa.e the magar maiñ na unheñ rok sakā
haath aa kar mire jaatī rahī daulat kaisī
ḳhvāhish-e-vasl pe vo shoḳh ye hañs kar bolā
chuTkiyāñ letī rahe dil meñ vo hasrat kaisī
mai ho mā’shūq baġhal meñ ho janāb-e-vā’iz
dekhiye phir ki bahaltī hai tabī'at kaisī
laakh ‘ishrat ke hoñ sāmān magar ai 'hājir'
rāhat-e-jāñ na baġhal meñ ho to rāhat kaisī
ye to mana ki tumhein ghair se nisbat kaisi
ho rahi hai sar-e-bazar ye shohrat kaisi
aap ki KHam-KHayali hai faqat hazrat-e-dil
wo 'adawat bhi nahin rakhte mohabbat kaisi
dard-e-furqat bhi hua shamil-e-rashk-e-aghyar
ye musibat mein nai aur musibat kaisi
bhole-bhaale hain sitam un ko kahan se aaya
muft mein log lagate hain ye tohmat kaisi
chahne wale nirale hain tere duniya se
jaan qurban karen tujh pe ye daulat kaisi
wasf-e-aghyar wo mujh se hi bayan karte hain
dekhiye sujhi hai ye un ko shararat kaisi
mudda'a ye hai ki taDpa hi kare furqat mein
wo jatate hain mohabbat dam-e-ruKHsat kaisi
wasl mein sharf ne chhoDa tha ba-mushkil daman
darmiyan ho gai hail ye nazakat kaisi
KHud-baKHud pyar jise dekhte hi aata hai
pyari pyari hai KHuda rakkhe wo surat kaisi
jo teri chaal se barpa ho wo fitna kaisa
jo teri rah se uTThe wo qayamat kaisi
KHana-e-dahr hai goya ki musafir-KHana
ghafilo nind sar-e-bistar-e-rahat kaisi
wo to aae the magar main na unhen rok saka
hath aa kar mere jati rahi daulat kaisi
KHwahish-e-wasl pe wo shoKH ye hans kar bola
chuTkiyan leti rahe dil mein wo hasrat kaisi
mai ho ma’shuq baghal mein ho janab-e-wa’iz
dekhiye phir ki bahalti hai tabi'at kaisi
lakh ‘ishrat ke hon saman magar ai 'hajir'
rahat-e-jaan na baghal mein ho to rahat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.