ye to na tha ki zist KHata-kar bhi na thi
ye to na thā ki ziist ḳhatā-kār bhī na thī
jitnī sazā hai utnī gunahgār bhī na thī
pathrāv karte rahne kī bas rasm paḌ ga.ī
vo shāḳh yuuñ to itnī samar-dār bhī na thī
kaise kaheñ ki maañg na thī zindagī kī kuchh
jo kuchh milā hai us kī talabgār bhī na thī
barsoñ kā farq kaise bichhaḌte hī paḌ gayā
itnī to tez vaqt kī raftār bhī na thī
bād-e-shimāl barf ke paiġhām laa.ī thī
aur dhuup thī ki sunñe ko tayyār bhī na thī
ik dūsre se vo bhī shanāsā na ho sake
jin ke gharoñ ke biich meñ dīvār bhī na thī
ye to na tha ki zist KHata-kar bhi na thi
jitni saza hai utni gunahgar bhi na thi
pathraw karte rahne ki bas rasm paD gai
wo shaKH yun to itni samar-dar bhi na thi
kaise kahen ki mang na thi zindagi ki kuchh
jo kuchh mila hai us ki talabgar bhi na thi
barson ka farq kaise bichhaDte hi paD gaya
itni to tez waqt ki raftar bhi na thi
baad-e-shimal barf ke paigham lai thi
aur dhup thi ki sunne ko tayyar bhi na thi
ek dusre se wo bhi shanasa na ho sake
jin ke gharon ke bich mein diwar bhi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.