ye to nahin malum ki kya baat hui thi
ye to nahīñ ma.alūm ki kyā baat huī thī
haañ sāhil-e-dariyā pe bahut bhiiḌ lagī thī
apnī ravish-e-kaj-kulahī se na banī baat
sunte haiñ ki is Dhang se bahutoñ kī banī thī
ham din ke ujāloñ ko duā do ki abhī tak
kūche meñ tumhāre shab-e-tārīk basī thī
dekhā thā kisī shoḳh ne shab ḳhvāb chaman kā
rauñde hue phūloñ kī adā bol rahī thī
jiddat ke ujāle meñ bhī palte haiñ añdhere
kisī dhuup ke maare ne ḳhudā lagtī kahī thī
chup-chāp chale aa.e tum achchhā huā 'nāzim'
saaqī se ulajhnā bhī to ik be-adabī thī
ye to nahin malum ki kya baat hui thi
han sahil-e-dariya pe bahut bhiD lagi thi
apni rawish-e-kaj-kulahi se na bani baat
sunte hain ki is Dhang se bahuton ki bani thi
hum din ke ujalon ko dua do ki abhi tak
kuche mein tumhaare shab-e-tarik basi thi
dekha tha kisi shoKH ne shab KHwab chaman ka
raunde hue phulon ki ada bol rahi thi
jiddat ke ujale mein bhi palte hain andhere
kisi dhup ke mare ne KHuda lagti kahi thi
chup-chap chale aae tum achchha hua 'nazim'
saqi se ulajhna bhi to ek be-adabi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.