ye tum se kaun kahta hai mulaqaten nahin achchhi
ye tum se kaun kahtā hai mulāqāteñ nahīñ achchhī
magar yuuñ der tak ġhairoñ ke ghar bāteñ nahīñ achchhī
vahī bāteñ jo achchhī haiñ vahī bāteñ nahīñ achchhī
dil-e-tanhā ko bhīgī chāñdnī rāteñ nahīñ achchhī
fazā-e-husn ik rangīñ taqāzā hī sahī lekin
bharī mahfil meñ phir bhī pyaar kī bāteñ nahīñ achchhī
kabhī ik sho.ala-e-uryāñ kabhī yād-e-qad-e-rā.anā
tirī nisbat se apnī kaun sī rāteñ nahīñ achchhī
baroz-e-eid un ke sāmne dil kaun le jaa.e
hujūm-e-ām kī zad meñ mulāqāteñ nahīñ achchhī
nazar lipTī chalī jaatī hai ik sarv-e-ḳhirāmāñ se
shikast-e-ārzū kahtī hai ye bāteñ nahīñ achchhī
hasīñ āñkhoñ meñ sail-e-ashk-e-ġham par dil laraztā hai
na.e phūloñ ko itnī saḳht barsāteñ nahīñ achchhī
vo likhte haiñ yahāñ tāḳhīr-e-ḳhat kuchh ho hī jaatī hai
magar dehlī se is andāz kī bāteñ nahīñ achchhī
ye harf-e-talḳh 'saifī' halqa-e-ahbāb tak pahuñche
ba-qaid-e-maslahat hargiz mulāqāteñ nahīñ achchhī
ye tum se kaun kahta hai mulaqaten nahin achchhi
magar yun der tak ghairon ke ghar baaten nahin achchhi
wahi baaten jo achchhi hain wahi baaten nahin achchhi
dil-e-tanha ko bhigi chandni raaten nahin achchhi
faza-e-husn ek rangin taqaza hi sahi lekin
bhari mahfil mein phir bhi pyar ki baaten nahin achchhi
kabhi ek shoala-e-uryan kabhi yaad-e-qad-e-raana
teri nisbat se apni kaun si raaten nahin achchhi
baroz-e-eid un ke samne dil kaun le jae
hujum-e-am ki zad mein mulaqaten nahin achchhi
nazar lipTi chali jati hai ek sarw-e-KHiraman se
shikast-e-arzu kahti hai ye baaten nahin achchhi
hasin aankhon mein sail-e-ashk-e-gham par dil larazta hai
nae phulon ko itni saKHt barsaten nahin achchhi
wo likhte hain yahan taKHir-e-KHat kuchh ho hi jati hai
magar dehli se is andaz ki baaten nahin achchhi
ye harf-e-talKH 'saifi' halqa-e-ahbab tak pahunche
ba-qaid-e-maslahat hargiz mulaqaten nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.