ye ujale se karan-ta-ba-karan kaise hain
ye ujāle se karāñ-tā-ba-karāñ kaise haiñ
tere aane ke mire dil meñ gumāñ kaise haiñ
fart-e-hairat se ye ā.īna unheñ dekhtā hai
ek chehre meñ ka.ī chehre nihāñ kaise haiñ
koī shīsha hai ki patthar hai ki sapnā koī
jo na pahchān sakīñ shīsha-garāñ kaise haiñ
tere raste se judā thā mirā rasta lekin
tere dil par mire qadmoñ ke nishāñ kaise haiñ
ek uljhan hai jo ghere meñ liye rahtī hai
ham ko honā thā kahīñ aur yahāñ kaise haiñ
maiñ to phūloñ kī makīñ ḳhvāb-nagar kī baasī
phir ye aañsū mirī āñkhoñ se ravāñ kaise haiñ
ab jo lauTe ho to āñkhoñ meñ udāsī kyuuñ hai
pas-e-mizhgāñ ye sitāre se nihāñ kaise haiñ
vo jo bhaTke hī nahīñ the kabhī manzil se 'farah'
un ke chehroñ pe likhe sūd-o-ziyāñ kaise haiñ
ye ujale se karan-ta-ba-karan kaise hain
tere aane ke mere dil mein guman kaise hain
fart-e-hairat se ye aaina unhen dekhta hai
ek chehre mein kai chehre nihan kaise hain
koi shisha hai ki patthar hai ki sapna koi
jo na pahchan sakin shisha-garan kaise hain
tere raste se juda tha mera rasta lekin
tere dil par mere qadmon ke nishan kaise hain
ek uljhan hai jo ghere mein liye rahti hai
hum ko hona tha kahin aur yahan kaise hain
main to phulon ki makin KHwab-nagar ki basi
phir ye aansu meri aankhon se rawan kaise hain
ab jo lauTe ho to aankhon mein udasi kyun hai
pas-e-mizhgan ye sitare se nihan kaise hain
wo jo bhaTke hi nahin the kabhi manzil se 'farah'
un ke chehron pe likhe sud-o-ziyan kaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.