Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye unki gali hai baad-e-saba aahista guzar aahista guzar

Salahuddin Nayyar

ye unki gali hai baad-e-saba aahista guzar aahista guzar

Salahuddin Nayyar

MORE BYSalahuddin Nayyar

    ye un galī hai bād-e-sabā āhista guzar āhista guzar

    ye rāh-e-vafā hai rāh-e-vafā āhista guzar āhista guzar

    ai rah-rav-e-ulfat aa pahuñchī vo shahr-e-nigārāñ sarhad

    aatī hai shikast-e-dil sadā āhista guzar āhista guzar

    ai nik.hat-e-gul is mahfil meñ āzurda na ho āzurda na ho

    miltī hai yahāñ ḳhushbu-e-vafā āhista guzar āhista guzar

    do phuul chaḌhā ashk bahā kuchh farq nahīñ paḌtā sāthī

    chaltī hai yahīñ se rasm-e-vafā āhista guzar āhista guzar

    ai abr-e-siyah itnā na machal chalnā hai to dhīre dhīre chal

    vo sāmne hai zulfoñ ghaTā āhista guzar āhista guzar

    ai mahram-e-ḳhalvat mauj-e-sabā jazbāt-e-mohabbat aam na kar

    ho jaa.e na gul phir sham-e-vafā āhista guzar āhista guzar

    kitne patange jalte haiñ be-nām sahī gumnām sahī

    ai rasm-e-mohabbat dekh zarā āhista guzar āhista guzar

    mānūs bhī huuñ mānūs nahīñ āvāz ye kis hai 'nayyar'

    kānoñ meñ kabhī aatī hai sadā āhista guzar āhista guzar

    ye un ki gali hai baad-e-saba aahista guzar aahista guzar

    ye rah-e-wafa hai rah-e-wafa aahista guzar aahista guzar

    ai rah-raw-e-ulfat aa pahunchi wo shahr-e-nigaran ki sarhad

    aati hai shikast-e-dil ki sada aahista guzar aahista guzar

    ai nikhat-e-gul is mahfil mein aazurda na ho aazurda na ho

    milti hai yahan KHushbu-e-wafa aahista guzar aahista guzar

    do phul chaDha ya ashk baha kuchh farq nahin paDta sathi

    chalti hai yahin se rasm-e-wafa aahista guzar aahista guzar

    ai abr-e-siyah itna na machal chalna hai to dhire dhire chal

    wo samne hai zulfon ki ghaTa aahista guzar aahista guzar

    ai mahram-e-KHalwat mauj-e-saba jazbaat-e-mohabbat aam na kar

    ho jae na gul phir sham-e-wafa aahista guzar aahista guzar

    kitne hi patange jalte hain be-nam sahi gumnam sahi

    ai rasm-e-mohabbat dekh zara aahista guzar aahista guzar

    manus bhi hun manus nahin aawaz ye kis ki hai 'nayyar'

    kanon mein kabhi aati hai sada aahista guzar aahista guzar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now