ye uski marzi hai wo dost yar rakhti hai
ye us kī marzī hai vo dost yaar rakhtī hai
yahī bahut hai ki vo mujh se pyaar rakhtī hai
ḳhizāñ hamārī hai aur jo majāl vaale haiñ
hayāt un ke liye hī bahār rakhtī hai
maiñ us ke paas se guzrā to inkishāf huā
vo bākara to ġhazab ke ubhār rakhtī hai
vo jis se miltī hai kartī hai be-badan us ko
libās ko nahīñ vo tan utaar rakhtī hai
tirā dimāġh bhī zaḳhmī hai dil bhī paañv bhī
ye kā.enāt hai 'jānif' ye ḳhaar rakhtī hai
hamārī soch faqat zehn meñ nahīñ rahtī
traveller hai Thikāne hazār rakhtī hai
ye us ki marzi hai wo dost yar rakhti hai
yahi bahut hai ki wo mujh se pyar rakhti hai
KHizan hamari hai aur jo majal wale hain
hayat un ke liye hi bahaar rakhti hai
main us ke pas se guzra to inkishaf hua
wo bakara to ghazab ke ubhaar rakhti hai
wo jis se milti hai karti hai be-badan us ko
libas ko nahin wo tan utar rakhti hai
tera dimagh bhi zaKHmi hai dil bhi panw bhi
ye kaenat hai 'jaanif' ye KHar rakhti hai
hamari soch faqat zehn mein nahin rahti
traweller hai Thikane hazar rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.