ye waqia kabhi tariKH mein hua to nahin
ye vāqi'a kabhī tārīḳh meñ huā to nahīñ
charāġh-e-'ishq havā se kabhī bujhā to nahīñ
ye log kyoñ mire hone se ḳhud ko dekhte haiñ
ye mujh se ḳhaufzada haiñ maiñ aa.ina to nahīñ
havā-e-tund se mā'dūm ho nahīñ saktā
ye bahr-e-'ishq hai paanī kā bulbulā to nahīñ
jo pīchhe rah gayā samjho vo rah gayā pīchhe
ye zindagī kā safar koī dā.era to nahīñ
ye ranj-o-ġham ye musībat ye dasht-e-tanhā.ī
mire ḳhudā mujhe darpesh karbalā to nahīñ
guzar chukā hai jo manzar vo mere sāmne hai
jo hone vaalā hai vo bhī koī nayā to nahīñ
ye waqi'a kabhi tariKH mein hua to nahin
charagh-e-'ishq hawa se kabhi bujha to nahin
ye log kyon mere hone se KHud ko dekhte hain
ye mujh se KHaufzada hain main aaina to nahin
hawa-e-tund se ma'dum ho nahin sakta
ye bahr-e-'ishq hai pani ka bulbula to nahin
jo pichhe rah gaya samjho wo rah gaya pichhe
ye zindagi ka safar koi daera to nahin
ye ranj-o-gham ye musibat ye dasht-e-tanhai
mere KHuda mujhe darpesh karbala to nahin
guzar chuka hai jo manzar wo mere samne hai
jo hone wala hai wo bhi koi naya to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.