ye waqia to lage hai suna hua sa kuchh
ye vāqi.a to lage hai sunā huā sā kuchh
har ek shaḳhs kahe hai kahā huā sā kuchh
vo gahre gahre sabhī zaḳhm bhar ga.e jab se
nayā sā dard lage hai sahā huā sā kuchh
ye tez o tund havā.eñ uḌā hī le jaa.eñ
agar bachā ke na rakkhūñ bachā huā sā kuchh
karāhne kī sadā.eñ bhī ab nahīñ ātīñ
tamām shahr lage hai Darā huā sā kuchh
har ek laash meñ kuchh ḳhvāb saañs lete hue
har ik vajūd meñ jaise marā huā sā kuchh
ye ḳhauf hai kahīñ ātish-fishāñ na ban jaa.e
hamāre paañv ke nīche dabā huā sā kuchh
ye waqia to lage hai suna hua sa kuchh
har ek shaKHs kahe hai kaha hua sa kuchh
wo gahre gahre sabhi zaKHm bhar gae jab se
naya sa dard lage hai saha hua sa kuchh
ye tez o tund hawaen uDa hi le jaen
agar bacha ke na rakkhun bacha hua sa kuchh
karahne ki sadaen bhi ab nahin aatin
tamam shahr lage hai Dara hua sa kuchh
har ek lash mein kuchh KHwab sans lete hue
har ek wajud mein jaise mara hua sa kuchh
ye KHauf hai kahin aatish-fishan na ban jae
hamare panw ke niche daba hua sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.