ye wafa mange hai tum se na jafa mange hai
ye vafā māñge hai tum se na jafā māñge hai
merī māsūm jabīñ ek ḳhudā māñge hai
dil kā har zaḳhm mirā dād-e-vafā māñge hai
be-gunāhī mirī ab tum se sazā māñge hai
dil-e-kam-baḳht ko dekho to ye kyā māñge hai
ek but sab se alag sab se judā māñge hai
ik uchaTtī sī nazar ek tabassum kī kiran
dil-e-kam-zarf vafāoñ kā silā māñge hai
hosh jaate rahe 'mumtāz' ke shāyad logo
asr-e-hāzir meñ vo jiine kī duā māñge hai
ye wafa mange hai tum se na jafa mange hai
meri masum jabin ek KHuda mange hai
dil ka har zaKHm mera dad-e-wafa mange hai
be-gunahi meri ab tum se saza mange hai
dil-e-kam-baKHt ko dekho to ye kya mange hai
ek but sab se alag sab se juda mange hai
ek uchaTti si nazar ek tabassum ki kiran
dil-e-kam-zarf wafaon ka sila mange hai
hosh jate rahe 'mumtaz' ke shayad logo
asr-e-hazir mein wo jine ki dua mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.