ye wahshat-e-tanhai saughat hai ulfat ki
ye vahshat-e-tanhā.ī sauġhāt hai ulfat kī
ye karb kī pahnā.ī sauġhāt hai ulfat kī
kahte haiñ sabhī mujh ko āvāra-o-nākāra
ye daulat-e-rusvā.ī sauġhāt hai ulfat kī
vo haar ke bhī jīteñ ham jiit ke bhī hāreñ
ye maat ye paspā.ī sauġhāt hai ulfat kī
ham log haqīqat se vāqif the kahāñ pahle
ye ramz-e-shanāsā.ī sauġhāt hai ulfat kī
ham hañs ke jo sahte haiñ har zulm zamāne kā
ye dil kī shakebā.ī sauġhāt hai ulfat kī
har shaḳhs ke hoñToñ par naġhme jo tumhāre haiñ
'kāshif' ye pazīrā.ī sauġhāt hai ulfat kī
ye wahshat-e-tanhai saughat hai ulfat ki
ye karb ki pahnai saughat hai ulfat ki
kahte hain sabhi mujh ko aawara-o-nakara
ye daulat-e-ruswai saughat hai ulfat ki
wo haar ke bhi jiten hum jit ke bhi haaren
ye mat ye paspai saughat hai ulfat ki
hum log haqiqat se waqif the kahan pahle
ye ramz-e-shanasai saughat hai ulfat ki
hum hans ke jo sahte hain har zulm zamane ka
ye dil ki shakebai saughat hai ulfat ki
har shaKHs ke honTon par naghme jo tumhaare hain
'kashif' ye pazirai saughat hai ulfat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.