ye waqt ka taqaza hai khul kar jawab dun
ye vaqt kā taqāza hai khul kar javāb duuñ
sab saañp āstīn ke pairoñ se daab duuñ
mujh ko chalā rahā hai vo apne hisāb se
aur ye bhī chāhtā hai ki us ko hisāb duuñ
ḳhvāboñ meñ kar rahā hai bhalā kaun ye savāl
uTh kar maiñ sochtā huuñ ki kis ko javāb duuñ
ho kar maiñ tere saath jab āzād ho gayā
duniyā ke in savāloñ kā ab kyā javāb duuñ
ho jā.ūñ gar ḳhudā maiñ jo ik roz ke liye
jo log doġhle haiñ sabhī ko 'azāb duuñ
jo log mar ga.e haiñ zamāne meñ jīte-jī
jiine kā un ko kyoñ na hasīñ koī ḳhvāb duuñ
'mas'ūd' mai-kade se maiñ jaane lagā thā ghar
itne meñ sāqiyā ne kahā aur sharāb duuñ
ye waqt ka taqaza hai khul kar jawab dun
sab sanp aastin ke pairon se dab dun
mujh ko chala raha hai wo apne hisab se
aur ye bhi chahta hai ki us ko hisab dun
KHwabon mein kar raha hai bhala kaun ye sawal
uTh kar main sochta hun ki kis ko jawab dun
ho kar main tere sath jab aazad ho gaya
duniya ke in sawalon ka ab kya jawab dun
ho jaun gar KHuda main jo ek roz ke liye
jo log doghle hain sabhi ko 'azab dun
jo log mar gae hain zamane mein jite-ji
jine ka un ko kyon na hasin koi KHwab dun
'mas'ud' mai-kade se main jaane laga tha ghar
itne mein saqiya ne kaha aur sharab dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.