ye waza-e-qaumiyat aainda ruKHsat hone wali hai
ye vaz.a-e-qaumiyat ā.inda ruḳhsat hone vaalī hai
na.ī tahzīb se tajdīd-e-millat hone vaalī hai
shab-e-lazzat hai āḳhir aur mahfil uThtī jaatī hai
sahar kyā hone vaalī hai qayāmat hone vaalī hai
na.e sāmān-e-ārā.ish farāham hote jaate haiñ
farāham kyoñ na hoñ un kī zarūrat hone vaalī hai
gramophone par bechāra mutrib gat bajā.e kyā
vo ḳhud samjhā huā hai us kī jo gat hone vaalī hai
purānī vaz' vaale apnī apnī fikr meñ haiñ sab
ki dekheñ is bharī mahfil meñ kyā gat hone vaalī hai
commission kar rahā hai ġhaur tafrīq-e-mazāhib par
bhalī ho yā burī tarmīm-e-millat hone vaalī hai
koī maane na maane ham to is tarmīm se ḳhush haiñ
agar qaumī parastish juzv-e-millat hone vaalī hai
pile paḌte haiñ hindī is tarah taqlīd-e-europe par
ki goyā in kī europe par hukūmat hone vaalī hai
hamārī sādgī rozāna aisī baḌhtī jaatī hai
ki is kī jald-tar pechīda sūrat hone vaalī hai
hamārī har ġharaz meñ saḳht qaideñ lagtī jaatī haiñ
har āsānī hameñ ā.inda diqqat hone vaalī hai
guzishta azmateñ apnī hameñ sab yaad hoñ lekin
ab un se koī 'izzat koī vaq'at hone vaalī hai
tum ā.īne meñ apne ḳhāl-o-ḳhat kā husn mat dekho
vo sūrat dekho jo ā.inda sūrat hone vaalī hai
shumār ab tak thā chaupāyoñ meñ jis kā us ke baazū ko
par-e-parvāz kī quvvat ‘ināyat hone vaalī hai
bahut kuchh tum taraqqī kar chuke aur karte jaate ho
magar qudrat pe hāsil tum ko qudrat hone vaalī hai
tumheñ me.arāj-e-duniyāvī to hāsil ho chukā aage
taraqqī hone vaalī kyā hai zillat hone vaalī hai
ġharaz duniyā badaltī jā rahī hai aisī tezī se
ki koī din meñ maḳhdūsh is kī sūrat hone vaalī hai
tumheñ kyā soch 'nādir' tum na hoge aur na dekhoge
jo kuchh achchhī burī ā.inda hālat hone vaalī hai
ye waza-e-qaumiyat aainda ruKHsat hone wali hai
nai tahzib se tajdid-e-millat hone wali hai
shab-e-lazzat hai aaKHir aur mahfil uThti jati hai
sahar kya hone wali hai qayamat hone wali hai
nae saman-e-araish faraham hote jate hain
faraham kyon na hon un ki zarurat hone wali hai
gramophone par bechaara mutrib gat bajae kya
wo KHud samjha hua hai us ki jo gat hone wali hai
purani waz' wale apni apni fikr mein hain sab
ki dekhen is bhari mahfil mein kya gat hone wali hai
commission kar raha hai ghaur tafriq-e-mazahib par
bhali ho ya buri tarmim-e-millat hone wali hai
koi mane na mane hum to is tarmim se KHush hain
agar qaumi parastish juzw-e-millat hone wali hai
pile paDte hain hindi is tarah taqlid-e-europe par
ki goya in ki europe par hukumat hone wali hai
hamari sadgi rozana aisi baDhti jati hai
ki is ki jald-tar pechida surat hone wali hai
hamari har gharaz mein saKHt qaiden lagti jati hain
har aasani hamein aainda diqqat hone wali hai
guzishta azmaten apni hamein sab yaad hon lekin
ab un se koi 'izzat koi waq'at hone wali hai
tum aaine mein apne KHal-o-KHat ka husn mat dekho
wo surat dekho jo aainda surat hone wali hai
shumar ab tak tha chaupayon mein jis ka us ke bazu ko
par-e-parwaz ki quwwat ‘inayat hone wali hai
bahut kuchh tum taraqqi kar chuke aur karte jate ho
magar qudrat pe hasil tum ko qudrat hone wali hai
tumhein mearaj-e-duniyawi to hasil ho chuka aage
taraqqi hone wali kya hai zillat hone wali hai
gharaz duniya badalti ja rahi hai aisi tezi se
ki koi din mein maKHdush is ki surat hone wali hai
tumhein kya soch 'nadir' tum na hoge aur na dekhoge
jo kuchh achchhi buri aainda haalat hone wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.