ye wo hasti hai kisi ki jo asiri mein nahin
ye vo hastī hai kisī kī jo asīrī meñ nahīñ
jo faqīrī meñ maza hai vo amīrī meñ nahīñ
rahm farmānā tirī shaan hai ai rabb-e-qadīr
haañ sitam Dhānā tirī shān-e-qadīrī meñ nahīñ
zo.af baḌh jaatā hai ho jaate haiñ a.azā kamzor
ishq kā lutf javānī meñ hai piirī meñ nahīñ
jo 'anīs' aap ko allāh ne baḳhshā hai kamāl
marsiye kī vo sifat rang-e-dabīrī meñ nahīñ
baaġh se phūloñ kā ras chuus ke uḌ jaatī haiñ
hoshiyārī ye magas meñ hai bhañbīrī meñ nahīñ
ye haqīqat hai nahīñ sabr-o-qanā.at jis meñ
vo bhikārī hai magar ramz-e-faqīrī meñ nahīñ
maiñ zamāne tujhe mash.hūr nahīñ kar sakta
kashf itnā to mirī chashm-e-basīrī meñ nahīñ
ye wo hasti hai kisi ki jo asiri mein nahin
jo faqiri mein maza hai wo amiri mein nahin
rahm farmana teri shan hai ai rabb-e-qadir
han sitam Dhana teri shan-e-qadiri mein nahin
zoaf baDh jata hai ho jate hain aaza kamzor
ishq ka lutf jawani mein hai piri mein nahin
jo 'anis' aap ko allah ne baKHsha hai kamal
marsiye ki wo sifat rang-e-dabiri mein nahin
bagh se phulon ka ras chus ke uD jati hain
hoshiyari ye magas mein hai bhanbiri mein nahin
ye haqiqat hai nahin sabr-o-qanaat jis mein
wo bhikari hai magar ramz-e-faqiri mein nahin
main zamane tujhe mashhur nahin kar sakta
kashf itna to meri chashm-e-basiri mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.