Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye wo jahan nahin jahan aazar hi na ho

Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

ye wo jahan nahin jahan aazar hi na ho

Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

    ye vo jahāñ nahīñ jahāñ āzār na ho

    gulzār kaun hai vo jahāñ ḳhaar na ho

    achchhā hai un se koī sarokār na ho

    jin dostoñ meñ jauhar-e-īsār na ho

    is bazm-e-shab ke hashr pe rotā hai vaqt bhī

    jo inqilāb-e-dahr se bedār na ho

    mahrūmiyoñ se rang-e-ruḳh-e-zīst zard hai

    insāñ vo kaam hai jo bezār na ho

    merī samajh meñ aa.egā tab irtiqā-e-zīst

    bazm-e-jahāñ meñ jab koī nādār na ho

    ye wo jahan nahin jahan aazar hi na ho

    gulzar kaun hai wo jahan KHar hi na ho

    achchha hai un se koi sarokar hi na ho

    jin doston mein jauhar-e-isar hi na ho

    is bazm-e-shab ke hashr pe rota hai waqt bhi

    jo inqilab-e-dahr se bedar hi na ho

    mahrumiyon se rang-e-ruKH-e-zist zard hai

    insan wo kaam ka hai jo bezar hi na ho

    meri samajh mein aaega tab irtiqa-e-zist

    bazm-e-jahan mein jab koi nadar hi na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now