ye wusat-o-imkan ki had hai mere nazdik
ye vus.at-o-imkān kī had hai mire nazdīk
vo ḳhud hī azal ḳhud hī abad hai mire nazdīk
is vaqt falak ziine se baḌh kar nahīñ mujh ko
is vaqt tirā qāmat-o-qad hai mire nazdīk
chup huuñ ki mirā ḳhvāb hai idrāk se bāhar
ḳhush huuñ ki mirī aañkh sanad hai mire nazdīk
daryūza-gar-e-ishq huuñ kaasa hai mirī jaañ
har lamha mirī zaat kā rad hai mire nazdīk
madfūn hai ik ruuh mirī ḳhaak meñ 'ahmad'
ye jism faqat ek lahad hai mire nazdīk
ye wusat-o-imkan ki had hai mere nazdik
wo KHud hi azal KHud hi abad hai mere nazdik
is waqt falak zine se baDh kar nahin mujh ko
is waqt tera qamat-o-qad hai mere nazdik
chup hun ki mera KHwab hai idrak se bahar
KHush hun ki meri aankh sanad hai mere nazdik
daryuza-gar-e-ishq hun kasa hai meri jaan
har lamha meri zat ka rad hai mere nazdik
madfun hai ek ruh meri KHak mein 'ahmad'
ye jism faqat ek lahad hai mere nazdik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.