ye zad-e-rah kisi marhale mein rakh dena
ye zād-e-rāh kisī marhale meñ rakh denā
koī gulāb mire rāste meñ rakh denā
jo bahs chāhiye fan par to isti.āra koī
kisī radīf kisī qāfiye meñ rakh denā
jo naqsh naqsh-e-mohabbat thā miT chukā dil se
charāġh ab ye kisī tāqche meñ rakh denā
guzār lūñgā kisī tarah hijr kī rāteñ
koī kahānī mire hāfize meñ rakh denā
baġhaur dekhnā chehroñ kā rañg utarte hue
mire hunar kī chamak aa.ine meñ rakh denā
maiñ āp-apnā sitāra huuñ apnī gardish huuñ
mirā nujūm mire zā.iche meñ rakh denā
maiñ dekhūñ kyā hai mirā TūTnā bikharnā 'ramz'
mujhe uThā ke kisī zalzale meñ rakh denā
ye zad-e-rah kisi marhale mein rakh dena
koi gulab mere raste mein rakh dena
jo bahs chahiye fan par to istiara koi
kisi radif kisi qafiye mein rakh dena
jo naqsh naqsh-e-mohabbat tha miT chuka dil se
charagh ab ye kisi taqche mein rakh dena
guzar lunga kisi tarah hijr ki raaten
koi kahani mere hafize mein rakh dena
baghaur dekhna chehron ka rang utarte hue
mere hunar ki chamak aaine mein rakh dena
main aap-apna sitara hun apni gardish hun
mera nujum mere zaiche mein rakh dena
main dekhun kya hai mera TuTna bikharna 'ramz'
mujhe uTha ke kisi zalzale mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.