ye zawiya suraj ka badal jaega sain
ye zāviya sūraj kā badal jā.egā sā.īñ
saaya hai magar saaya to Dhal jā.egā sā.īñ
ḳhud aap ke hāthoñ kā tarāshā huā lamha
ḳhud aap ke hāthoñ se phisal jā.egā sā.īñ
ye barf-badan aap kā aur mom kā maskan
is dhuup nagar meñ to pighal jā.egā sā.īñ
sāhil na rahegā tahī-dāmāñ ki samundar
ik din koī motī bhī ugal jā.egā sā.īñ
jo raakh huā jism vo lau dene lagegā
jo diip bujhāyā hai vo jal jā.egā sā.īñ
is shahr-e-dil-āvez meñ dil vāloñ kā sikka
pahle bhī chalā aaj bhī chal jā.egā sā.īñ
manzil hī tirī yaar 'rashīd' aur nahīñ hai
tū jab bhī gayā chāñd mahal jā.egā sā.īñ
ye zawiya suraj ka badal jaega sain
saya hai magar saya to Dhal jaega sain
KHud aap ke hathon ka tarasha hua lamha
KHud aap ke hathon se phisal jaega sain
ye barf-badan aap ka aur mom ka maskan
is dhup nagar mein to pighal jaega sain
sahil na rahega tahi-daman ki samundar
ek din koi moti bhi ugal jaega sain
jo rakh hua jism wo lau dene lagega
jo dip bujhaya hai wo jal jaega sain
is shahr-e-dil-awez mein dil walon ka sikka
pahle bhi chala aaj bhi chal jaega sain
manzil hi teri yar 'rashid' aur nahin hai
tu jab bhi gaya chand mahal jaega sain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 447)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.