ye zaKHm-ha-e-gham-e-mohabbat ye dagh-ha-e-gham-e-zamana
ye zaKHm-ha-e-gham-e-mohabbat ye dagh-ha-e-gham-e-zamana
Hafizullah Khan Badr
MORE BYHafizullah Khan Badr
ye zaḳhm-hā-e-ġham-e-mohabbat ye dāġh-hā-e-ġham-e-zamāna
inhīñ charāġhoñ ke dam se raushan rahā hai dil kā ġharīb-ḳhāna
vo fitne jaag uTThe aañkh milte vo zalzale le rahe haiñ karvaT
zarā tasavvur meñ aa gayā thā ḳhayāl-e-ta.amīr-e-āshiyāna
kabhī shikāyat ki bevafā huuñ kabhī ḳhafā arz-e-mudda.ā par
mire satāne ko mil hī jaatā hai aap ko kuchh na kuchh bahāna
inhīñ pe hai lutf-e-barq-o-bārāñ karam unhīñ par hai bāġhbāñ kā
mire nasheman ke chaar tinke haiñ markaz-e-gardish-e-zamāna
ye kohna-sālī meñ 'badr' tum ko ġhazal-sarā.ī kī ḳhuub sūjhī
na ab vo rangīnī-e-taḳhayyul na ab vo jazbāt-e-shā.irāna
ye zaKHm-ha-e-gham-e-mohabbat ye dagh-ha-e-gham-e-zamana
inhin charaghon ke dam se raushan raha hai dil ka gharib-KHana
wo fitne jag uTThe aankh milte wo zalzale le rahe hain karwaT
zara tasawwur mein aa gaya tha KHayal-e-tamir-e-ashiyana
kabhi shikayat ki bewafa hun kabhi KHafa arz-e-muddaa par
mere satane ko mil hi jata hai aap ko kuchh na kuchh bahana
inhin pe hai lutf-e-barq-o-baran karam unhin par hai baghban ka
mere nasheman ke chaar tinke hain markaz-e-gardish-e-zamana
ye kohna-sali mein 'badr' tum ko ghazal-sarai ki KHub sujhi
na ab wo rangini-e-taKHayyul na ab wo jazbaat-e-shairana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.