ye zamana kisi ko kya dega
ye zamāna kisī ko kyā degā
hañsnā chāhoge to rulā degā
jān-o-dil jis pe tū luTā degā
ik na ik din vahī daġhā degā
aa.ina dekh le zarā pahle
vo haqīqat tirī batā degā
bhaa.ī se dushmanī nahīñ achchhī
ghar kā dīpak hī ghar jalā degā
teġh-o-ḳhanjar kī kyā zarūrat hai
ek jumla hī dil dukhā degā
us ke aane kī hai ḳhushī lekin
jaate jaate vo phir rulā degā
aabrū rakh le mere kaase kī
dene vaale tujhe ḳhudā degā
ai 'samar' qarz maañ kī mamtā kā
kis kī hastī hai jo chukā degā
ye zamana kisi ko kya dega
hansna chahoge to rula dega
jaan-o-dil jis pe tu luTa dega
ek na ek din wahi dagha dega
aaina dekh le zara pahle
wo haqiqat teri bata dega
bhai se dushmani nahin achchhi
ghar ka dipak hi ghar jala dega
tegh-o-KHanjar ki kya zarurat hai
ek jumla hi dil dukha dega
us ke aane ki hai KHushi lekin
jate jate wo phir rula dega
aabru rakh le mere kase ki
dene wale tujhe KHuda dega
ai 'samar' qarz man ki mamta ka
kis ki hasti hai jo chuka dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.