ye zamin hi meri chaTai hai
ye zamīñ hī mirī chaTā.ī hai
aur ye āsmāñ razā.ī hai
zindagī mat qarīb kar us ke
moḌ par hī khaḌī judā.ī hai
tum badalte bajā magar kaise
dastaras hī mirī burā.ī hai
saañs bāzārī hotī hai phir bhī
kitnī lambī dukāñ jamā.ī hai
zulm par kyā zabān kho leñge
shahr ye aaj be-navā.ī hai
maz.haboñ kā naqāb oḌhe phir
aag tū ne kahāñ lagā.ī hai
baaqī sab to faqīr jaisā hai
chand ġhazleñ mirī kamā.ī hai
daur thā ḳhāksār kahne kā
ab yahāñ bazm-e-ḳhud-numā.ī hai
ye zamin hi meri chaTai hai
aur ye aasman razai hai
zindagi mat qarib kar us ke
moD par hi khaDi judai hai
tum badalte baja magar kaise
dastaras hi meri burai hai
sans bazari hoti hai phir bhi
kitni lambi dukan jamai hai
zulm par kya zaban kho lenge
shahr ye aaj be-nawai hai
mazhabon ka naqab oDhe phir
aag tu ne kahan lagai hai
baqi sab to faqir jaisa hai
chand ghazlen meri kamai hai
daur tha KHaksar kahne ka
ab yahan bazm-e-KHud-numai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.